sp

Monday, February 29, 2016

Tag Archives: judai

images (4)Kya bataaon kis tarah ab katt rahi hai zindagi,
Meri har har saans hai talwaar tere bagair..
=============================
Kya khabar thi woh humain aik sitaarey ki tarah,
Paas reh kar bhi bohat door dikhayi dain ge..
=============================
Zara sa Jhoot hi keh do mere bin adhoore ho,
Tumhara kya bigarta hai zara si baat kehne mein..
=============================
Mohabbat farzz hoti ja rahi hai,
Kisi ka qarzz hoti ja rahi hai,
Badan ko chaatt le gi ab yaqeenan,
Judaai marzz hoti ja rahi hai..
=============================
Tere bagair ye ab zindagi kahaan guzrey,
Qadam qadam pe tere saath ka gumaan guzre..
=============================
Umar bhar dil main koi shakhss raha hai Shaukat,
Umar bhar us se muyassar na mulaqat huyi..
=============================
Kabhi zaroorat parre to awaaz de dena,
Main guzra waqat nahi jo wapis na aaon !!

No comments:

Post a Comment